Monday, December 6, 2010

kutte


bhaukate hain jab nikalta hun,
mera jeena hraam kar rakha hai,
tokne lge hain log mujhe,
gli k kutton ne badnaam kr rakha hai.

phle aage peeche dum hilaya karte the,
jbaan latka k paas aaya karte the,
kaatna hi bacha hai ab,
gurrana to aam kr rakha hai.


kutto ko tang uthane ka chaska bda hai,

aur meri hi gli me khambha gada hai,
subah sfai karwao to,
shaam ko dekho phir whi kaam kr rakha hai.


apni gli k sheron ka chaud k chalna,
padta hai ankhe jhukakar nikalna,
kutto se bachkar rhana,
aam hamne ye paigam kar rakha hai.

gli k kutto ne jeena haram kr rakha hai....


dedicated to some of my real friends.....

yun hi


yun hi aata hai rona bhi,
khud paadta hai chup hona bhi.

chupke se phir raat chali aati hai,
muskil hota hai sona bhi.

jane kya hua is pagal ko,
ek sa lagta hai pana bhi aur khona bhi.

bachcha banta jata hai dil,
pareshan kar deta hai tuta hua khilouna bhi.

na aaya koi na kisi ko hamara khyal aaya,
kya hona hai apna yun hona bhi.

itna chahte nahi hai unko,

acha nai lagta rona bhi.

pr na jane kyoon,

bura lga unhe khona bhi.