Monday, December 6, 2010

kutte


bhaukate hain jab nikalta hun,
mera jeena hraam kar rakha hai,
tokne lge hain log mujhe,
gli k kutton ne badnaam kr rakha hai.

phle aage peeche dum hilaya karte the,
jbaan latka k paas aaya karte the,
kaatna hi bacha hai ab,
gurrana to aam kr rakha hai.


kutto ko tang uthane ka chaska bda hai,

aur meri hi gli me khambha gada hai,
subah sfai karwao to,
shaam ko dekho phir whi kaam kr rakha hai.


apni gli k sheron ka chaud k chalna,
padta hai ankhe jhukakar nikalna,
kutto se bachkar rhana,
aam hamne ye paigam kar rakha hai.

gli k kutto ne jeena haram kr rakha hai....


dedicated to some of my real friends.....

yun hi


yun hi aata hai rona bhi,
khud paadta hai chup hona bhi.

chupke se phir raat chali aati hai,
muskil hota hai sona bhi.

jane kya hua is pagal ko,
ek sa lagta hai pana bhi aur khona bhi.

bachcha banta jata hai dil,
pareshan kar deta hai tuta hua khilouna bhi.

na aaya koi na kisi ko hamara khyal aaya,
kya hona hai apna yun hona bhi.

itna chahte nahi hai unko,

acha nai lagta rona bhi.

pr na jane kyoon,

bura lga unhe khona bhi.

Saturday, August 7, 2010

Alvida


aaj hwa ka rukh sath hai
ye jhoka phir mile na mile.

aaj mil len unse
ye mauka phir mile na mile.


jo aaj hai to
isi ka gam mna len.

bdal rhe hai unka irade
ye dhhoka phir mile na mile.


mitalo pyas ruk_kar
jitni bhi hai.

ye behta paani
meri ankho k jhrno ka phir mile na mile.


ek baar dekh lo
taras hi khalo hmari halat par.

mulakaat ho na ho
ye saudagar dilo ka phir mile na nile.


ankho me ansu le kar
muskurate chale.

tum bhi dekh lo ye dilkash njara
aisa aashik anokha phir mile na mile.


its hard to say.it really hurts.but,ALVIDA....

Thursday, June 10, 2010

Kosish


Har thokar par yaad
Apne dil ka haal kyon aata hai

Har aahat pe tera

Khyal kyon aata hai

Khatam kar dete sari

Pareshaniyon ko

Par tujhe bhoolne ki har kosish mein
Zindagi ka sawaal kyun aata hai.


Sometimes its too hard to forget someone you love(who has gone away now),and every now and then her memories rush to ur mind.And even if at times you try to escape from all this but then you find it impossible coz you find that you cant survive without her...

Wednesday, June 9, 2010

Life's Game




This life so strange

Sometimes i wonder

At times its sunshine

Sometimes just thunder


This man like puppet

Falls pray to god's game

He knows he is helpless


Coz human is his name


They say don't give up hope


Try to stand up again


But what we are supposed to do

When god himself is the creator of pain



As anger fills my body

And courage run my veins

I don't fear of anything almighty


Just throw your toughest games

Today i had a bad day.So this is what i came up with...

Tuesday, June 8, 2010

Yaad


Tanhai,mayusi aur ruswaiyon k rang

Bikhre abhi tak meri dehleez par hain.


Ansoon se bikhre kaajal k daag

Ab bhi meri kameez par hain.


Kahan jayen hum

Ki teri yaad na aye.


Teri yaadon k nishaan

Yahaan har cheez par hain.


Its hard to forget the one whom you love the most,coz the things related to them remind of them again and again no matter how hard you try...

KEEP SMILING..


The day there will be

A tear in your eye..

The whole world will be in sorrow

And the clouds will cry..


So i hope you always get to smile

Coz that brings joy in spring..

And brings life to withered flowers

In joy the trees and birds will sing..

Chahat

Sirf chahne bhar se to

......chahat puri nahi hoti.

Gar jo hota aisa

.....to kisi ki chahat adhoori nahi hoti.

Jo hota yun

.....to tu mere sath hoti.

Mere sath ye

.....majboori nahi hoti.

IF I COULD..



Like a cloud

I wanna soak all your tears

Like the mighty sun

I wanna burn all your fears


If i could

I would give all you wish

And fill your garden of life

With every flower and bliss

Awaaz



Marz bhi tu hai,uska ilaaj bhi
Tadap bhi aur uski awaaz bhi.

Tu aata aur jaata rha,mausam ki tarah
Hum kal bhi vahin the aaj bhi.

Kya kehta mai logon ke taranein sunkar
Ki mai jo samajhta hoon,vo nagma bhi tu hai,saaz bhi.

Ab tak na samajhe hum,ki pachtayen ya fakra karein
Ki teri bewafai se mayusi hai,aur apni mohabbat pe naaz bhi.

Tu hi mere intzaar ka anjaam tha
Aur na khatam hone wale intzaar ka aagaz bhi.

Bata na sake hai kitni mohabbat
Dafan ho raha hai mere,sath ye raaz bhi.