Tuesday, June 8, 2010

Awaaz



Marz bhi tu hai,uska ilaaj bhi
Tadap bhi aur uski awaaz bhi.

Tu aata aur jaata rha,mausam ki tarah
Hum kal bhi vahin the aaj bhi.

Kya kehta mai logon ke taranein sunkar
Ki mai jo samajhta hoon,vo nagma bhi tu hai,saaz bhi.

Ab tak na samajhe hum,ki pachtayen ya fakra karein
Ki teri bewafai se mayusi hai,aur apni mohabbat pe naaz bhi.

Tu hi mere intzaar ka anjaam tha
Aur na khatam hone wale intzaar ka aagaz bhi.

Bata na sake hai kitni mohabbat
Dafan ho raha hai mere,sath ye raaz bhi.

No comments:

Post a Comment